hawa bandhte hain jo hazrat jinan ki
gali mein hasinon ki aae gae hain
Mubarak Azimabadi
hazaron mai-kade sar par liye hain
ye baadal hain baDe saman wale
Mubarak Azimabadi
iman ki to ye hai ki iman ab kahan
kafir bana gai teri kafir-nazar mujhe
Mubarak Azimabadi
ek mera sar ki qadam-bosi ki hasrat is ko
ek teri zulf ki qadmon se lagi rahti hai
Mubarak Azimabadi
ek teri baat ki jis baat ki tardid muhaal
ek mera KHwab ki jis KHwab ki tabir nahin
Mubarak Azimabadi
is bhari mahfil mein hum se dawar-e-mahshar na puchh
hum kahenge tujh se apni dastan sab se alag
Mubarak Azimabadi
jaan-nisaran-e-mohabbat mein na ho apna shumar
imtihan is liye zalim ne hamara na kiya
Mubarak Azimabadi

