meri dushwari hai dushwari meri
meri mushkil aap ki mushkil nahin
Mubarak Azimabadi
milo milo na milo iKHtiyar hai tum ko
is aarzu ke siwa aur aarzu kya hai
Mubarak Azimabadi
meri KHak bhi uDegi ba-adab teri gali mein
tere aastan se uncha na mera ghubar hoga
Mubarak Azimabadi
mohabbat mein wafa ki had jafa ki intiha kaisi
'mubarak' phir na kahna ye sitam koi sahe kab tak
Mubarak Azimabadi
mujh ko malum hai anjam-e-mohabbat kya hai
ek din maut ki ummid pe jina hoga
Mubarak Azimabadi
na manoge na manoge hamari
udhar ho jaegi duniya idhar ki
Mubarak Azimabadi
nikalna aarzu ka dil se malum
hujum-e-yas mein rasta mile kya
Mubarak Azimabadi

