jabin par KHak hai ye kis ke dar ki
balaen le raha hun apne sar ki
Mubarak Azimabadi
jinan ki kahte hain yun mujh se hazrat-e-waiz
ki jaise dekhi na ho yar ki gali main ne
Mubarak Azimabadi
jo dil-nashin ho kisi ke to is ka kya kahna
jagah nasib se milti hai dil ke goshon mein
Mubarak Azimabadi
jo laDkhaDae qadam mai-kade mein maston ke
baghal mein hazrat-e-naseh the baDh ke tham liya
Mubarak Azimabadi
jo nigah-e-naz ka bismil nahin
dil nahin wo dil nahin wo dil nahin
Mubarak Azimabadi
jo qayamat ka nahin din wo mera din kaisa
jo taDap kar na kaTi ho wo meri raat nahin
Mubarak Azimabadi
jo un ko chahiye wo kiye ja rahe hain wo
jo mujh ko chahiye wo kiye ja raha hun main
Mubarak Azimabadi

