KHabar itni to hai jhonke tere baad-e-KHizan pahunche
KHuda malum tinke aashiyane ke kahan pahunche
Mubarak Azimabadi
KHair saqi ki salamat mai-kada
jis qadar pi utni hushyari baDhi
Mubarak Azimabadi
khaTak rahi hai koi shai nikal de koi
taDap raha hai dil-e-be-qarar sine mein
Mubarak Azimabadi
kis pe dil aaya kahan aaya bata ai naseh
tu meri tarah pareshan kahan jata hai
Mubarak Azimabadi
kisi ki tamanna nikalti rahi
meri aarzu hath malti rahi
Mubarak Azimabadi
kisi ne barchhiyan marin kisi ne tir mare hain
KHuda rakkhe inhen ye sab karam-farma hamare hain
Mubarak Azimabadi
kisi se aaj ka wada kisi se kal ka wada hai
zamane ko laga rakkha hai is ummid-wari mein
Mubarak Azimabadi

