ek aansu se kami aa jaegi
ghaaliban dariyaon ke iqbaal mein
Ahmad Javed
ghar aur bayaban mein koi farq nahin hai
lazim hai magar ishq ke aadab mein rahna
Ahmad Javed
hamesha dil hawas-e-intiqam par rakkha
KHud apna nam bhi dushman ke nam par rakkha
Ahmad Javed
KHabar nahin hai mere baadshah ko shayad
hazar martaba aazad ye ghulam hua
Ahmad Javed
mashghul hain safai-o-tausi-e-dil mein hum
tangi na is makan mein ho mehman ko
Ahmad Javed
sukh ki KHatir dukh mat bech
jal ke pichhe jal na Dal
Ahmad Javed
teri duniya mein ai dil hum bhi ek goshe mein rahte hain
hamein bhi kuchh ummiden hain teri aalam-panahi se
Ahmad Javed