meri aadat mujhe pagal nahin hone deti
log to ab bhi samajhte hain ki ghar jata hun
Ahmad Kamal Parwazi
mujh ko malum hai mahbub-parasti ka azab
der se chand nikalna bhi ghalat lagta hai
Ahmad Kamal Parwazi
na jaane kya KHarabi aa gai hai mere lahje mein
na jaane kyun meri aawaz bojhal hoti rahti hai
Ahmad Kamal Parwazi
afaqaton ka tawazun agar bigaD jae
KHamoshiyon ke taawun se ghar chala lena
Ahmad Kamal Parwazi
tanhai se bachaw ki surat nahin karun
mar jaun kya kisi se mohabbat nahin karun
Ahmad Kamal Parwazi
tujh se bichhDun to teri zat ka hissa ho jaun
jis se marta hun usi zahr se achchha ho jaun
Ahmad Kamal Parwazi
tujh se bichhDun to teri zat ka hissa ho jaun
jis se marta hun usi zahr se achchha ho jaun
Ahmad Kamal Parwazi