اردو हिंदी
Hamari ham-nafasi ko bhi kya dawam hua | Shaahi Shayari
hamari ham-nafasi ko bhi kya dawam hua

Ghazal

Hamari ham-nafasi ko bhi kya dawam hua

Ahmad Javed

;

hamari ham-nafasi ko bhi kya dawam hua
wo abr-e-surKH to main naKHl-e-intiqam hua

yahin se mere adu ka KHamir uTTha tha
zamin dekh ke main tegh-e-be-niyam hua

KHabar nahin hai mere baadshah ko shayad
hazar martaba aazad ye ghulam hua

ajab safar tha ajab-tar musafirat meri
zamin shuru hui aur main tamam hua

wo kahili hai ki dil ki taraf se ghafil hain
KHud apne ghar ka bhi hum se na intizam hua

hui hai KHatm dar-o-baam ki kam-asbabi
mayassar aaj wo saman-e-inhidam hua