tulu-e-saat-e-shab-KHun hai aur mera dil
kisi sitara-e-bad ki nigah mein aaya
Ahmad Javed
us ki aankhon ke wasf kya likkhun
jaise KHwabon ka be-karan Thahrao
Ahmad Javed
yahi dil jo ek bund hai bahr-e-gham ki
Dubo dega sab shahr tufan kar ke
Ahmad Javed
ye ek lamhe ki duri bahut hai mere liye
tamam umr tera intizar karne ko
Ahmad Javed
ye kya chiz tamir karne chale ho
bina-e-mohabbat ko viran kar ke
Ahmad Javed
aag to chaaron hi jaanib thi par achchha ye hai
hosh-mandi se kisi chiz ko jalne na diya
Ahmad Kamal Parwazi
agar kaT-phaT gaya tha mera daman
tumhein sina pirona chahiye tha
Ahmad Kamal Parwazi