اردو हिंदी
Aansu ki tarah dida-e-pur-ab mein rahna | Shaahi Shayari
aansu ki tarah dida-e-pur-ab mein rahna

Ghazal

Aansu ki tarah dida-e-pur-ab mein rahna

Ahmad Javed

;

aansu ki tarah dida-e-pur-ab mein rahna
har gam mujhe KHana-e-sailab mein rahna

wo abru-e-KHamdar nazar aae to samjhe
aankhon ki tarah saya-e-mehrab mein rahna

ghaflat hi mein kaTte hain shab-o-roz hamare
har aan kisi dhyan kisi KHwab mein rahna

din bhar kisi diwar ke sae mein tag-o-taz
shab justuju-e-chadar-e-mahtab mein rahna

virana-e-duniya mein guzarte hain mere din
raaton ko rawaq-e-dil-e-betab mein rahna

miTTi to har ek haal mein miTTi hi rahegi
kya TaT mein kya qaqum o sanjab mein rahna

ghar aur bayaban mein koi farq nahin hai
lazim hai magar ishq ke aadab mein rahna

ek pal ko bhi aankhen na lagin KHana-e-dil mein
har lamha nigahbani-e-asbab mein rahna