اردو हिंदी
Hamesha dil hawas-e-intiqam par rakkha | Shaahi Shayari
hamesha dil hawas-e-intiqam par rakkha

Ghazal

Hamesha dil hawas-e-intiqam par rakkha

Ahmad Javed

;

hamesha dil hawas-e-intiqam par rakkha
KHud apna nam bhi dushman ke nam par rakkha

wo baadshah-e-firaq-o-visal hai us ne
jo bar sab pa giran tha ghulam par rakkha

kiye hain sab ko ata us ne ohda o mansab
mujhe bhi sina-KHarashi ke kaam par rakkha

koi sawar uTha hai pas-e-ghubar-e-fanaa
qaza ne hath kulah o niyam par rakkha

kisi ne be-sar-o-pai ke bawajud mujhe
zamin-e-sajda o arz-e-qayam par rakkha