hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi
kis ne toDa dil hamara ye kahani phir sahi
Masroor Anwar
aae the be-niyaz teri bargah mein
jate hain ek hujum-e-tamanna liye hue
Matin Niazi
aadmi aur dard se na-ashna mumkin nahin
aks se KHali ho koi aaina mumkin nahin
Matin Niazi
aap se yaad aap ki achchhi
aap to hum ko bhul jate hain
Matin Niazi
aatish-e-gul koi chingari nahin shoala nahin
phul khilte hain to gulshan mera jalta kyun hai
Matin Niazi
agar duniya tujhe diwana kahti hai to kahne de
wafadaran-e-ulfat par yahi ilzam aata hai
Matin Niazi
aise khoe sahar ke diwane
luT kar sham tak na ghar aae
Matin Niazi

