gumrahi rahh-numai ke muqabil aai
waqt ne dekhiye diwar pe likkha kya hai
Matin Niazi
hum to aashufta-sari se na sanwarne pae
aap se kyun na sanwara gaya gesu apna
Matin Niazi
ho na jab tak 'matin' kaif-e-gham
aadmi ko KHuda nahin milta
Matin Niazi
husn ki be-ruKHi ko ahl-e-nazar
hasil-e-iltifat kahte hain
Matin Niazi
kabhi kabhi to mohabbat ki zindagi ke liye
KHud un ko hum ne ubhaara hai barhami ke liye
Matin Niazi
KHuda mahfuz rakkhe intishaar-e-rahnumai se
isi manzil pe aa ke aadmi diwana hota hai
Matin Niazi
'matin' un ka karam waqai karam hai to phir
ye be-ruKHi ye taghaful ye barhami kya hai
Matin Niazi

