anasir ki koi tartib qaem rah nahin sakti
taghayyur ghair-fani hai taghayyur jawedani hai
Matin Niazi
achchon ka sa mizaj hai taKHliq-kar ka
apne siwa kisi ko baDa manta nahin
Matin Niazi
faza mein gunj rahi hain kahaniyan gham ki
hamin ko hausla-e-sharh-e-dastan na raha
Matin Niazi
gham ki tashrih hansi-khel nahin hai koi
pahle insan tu bin phir ye hunar paida ka
Matin Niazi
gham-e-insan ko sine se laga lo
ye KHidmat bandagi se kam nahin hai
Matin Niazi
gham-e-maal gham-e-zindagi gham-e-dauran
hamare ishq ka charcha kahan kahan na raha
Matin Niazi
gulshan ke parastaro tum ko to pata hoga
wo kaun hain aaKHir jo kaliyon ko masalte hain
Matin Niazi

