اردو हिंदी
Hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi | Shaahi Shayari
hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi

Ghazal

Hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi

Masroor Anwar

;

hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi
kis ne toDa dil hamara ye kahani phir sahi

dil ke luTne ka sabab puchho na sab ke samne
nam aaega tumhaara ye kahani phir sahi

nafraton ke tir kha kar doston ke shahr mein
hum ne kis kis ko pukara ye kahani phir sahi

kya bataen pyar ki bazi wafa ki rah mein
kaun jita kaun haara ye kahani phir sahi