aashiqon ko nafa kab hai inqilab-e-dahr se
hum wahi bande rahenge but KHuda ho jaenge
Lala Madhav Ram Jauhar
ab itr bhi malo to takalluf ki bu kahan
wo din hawa hue jo pasina gulab tha
Lala Madhav Ram Jauhar
ahl-e-jannat mujhe lete hain na dozaKH wale
kis jagah ja ke tumhaara ye gunahgar rahe
Lala Madhav Ram Jauhar
ai dil-e-zar maza dekh liya ulfat ka
hum na kahte the ki is kaam mein zillat hogi
Lala Madhav Ram Jauhar
ai dost tujh ko rahm na aae to kya karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
Lala Madhav Ram Jauhar
apni kahen ki is dil-e-KHana-KHarab ki
tum ko jo ho pasand wahi guftugu karen
Lala Madhav Ram Jauhar
apni zaban se mujhe jo chahe kah len aap
baDh baDh ke bolna nahin achchha raqib ka
Lala Madhav Ram Jauhar

