meri tarik shabon mein hai ujala in se
chand se zaKHmon pe marham ye lagate kyun ho
Laiq Aajiz
mujhe to jo bhi mila hai azab ki surat
meri hayat hai ek tishna KHwab ki surat
Laiq Aajiz
qalam uThaun ki bachchon ki zindagi dekhun
paDa hua hai dorahe pe ab hunar mera
Laiq Aajiz
sham hote hi bujh gaya 'ajiz'
ek muflis ka KHwab tha na raha
Laiq Aajiz
tark-e-jam-o-subu na kar pae
is liye hum wazu na kar pae
Laiq Aajiz
wo dhup thi ki zamin jal ke rakh ho jati
baras ke ab ke baDa kaam kar gaya pani
Laiq Aajiz
aaina dil ka toD ke kahta hai sang-zan
dil tera toD kar mujhe achchha nahin laga
Laiq Akbar sahaab

