اردو हिंदी
2 Lines Shayari Shayari | Shaahi Shayari

2 Lines Shayari

22761 Shers

chhoTi hi umr mein allah wazifa itna
abhi kya sin hai jo paDhte ho bala ki tasbih

Lala Madhav Ram Jauhar


Tags: | 2 Lines Shayari |


chup raho kyun mizaj puchhte ho
hum jien ya maren tumhein kya hai

Lala Madhav Ram Jauhar




chupka khaDa hua hun kidhar jaun kya karun
kuchh sujhta nahin hai mohabbat ki rah mein

Lala Madhav Ram Jauhar




chuTkiyon mein tum uDa doge hawa par ho sawar
tum se kya KHak kahe dil ki tamanna koi

Lala Madhav Ram Jauhar


Tags: | 2 Lines Shayari |


dard-e-dil kahte hue bazm mein aata hai hijab
taKHliya ho to kuchh ahwal sunaen tujh ko

Lala Madhav Ram Jauhar


Tags: | 2 Lines Shayari |


den jise chahen dil hamara hai
is mein kya aap ka ijara hai

Lala Madhav Ram Jauhar


Tags: | 2 Lines Shayari |


dekha huzur ko jo mukaddar to mar gae
hum miT gae jo aap ne maili nigah ki

Lala Madhav Ram Jauhar