hum bhi tere beTe hain zara dekh hamein bhi
ai KHak-e-watan tujh se shikayat nahin karte
Khursheed Akbar
jazire ug rahe hain paniyon mein
magar puKHta kinara ja raha hai
Khursheed Akbar
jo din hai KHak-e-bayaban jo raat hai jangal
wo be-panah mere ghar se hai ziyaada kya
Khursheed Akbar
kashti ki tarah tum mujhe dariya mein utaro
main bich bhanwar mein tumhein patwar banaun
Khursheed Akbar
KHud se likhne ka iKHtiyar bhi de
warna qismat ki taKHtiyan le ja
Khursheed Akbar
KHuda ke ghaebane mein kisi din
suno kya shahr sara bolta hai
Khursheed Akbar
lahu tewar badalta hai kahan tak
mera beTa siyana ho to dekhun
Khursheed Akbar

