marsiya hun main ghulamon ki KHush-ilhami ka
shah ke haq mein qasida nahin hone wala
Khursheed Akbar
mere us ke bich ka rishta ek majbur zarurat hai
main sukhe jazbon ka indhan wo machis ki tili si
Khursheed Akbar
muTThi se ret panw se kanTa nikal na jae
main dekhta rahun kahin duniya nikal na jae
Khursheed Akbar
na jaane kitne bhanwar ko rula ke aai hai
ye meri kashti-e-jaan KHud ko par karti hui
Khursheed Akbar
na jaane kya likha tha us ne diwar-e-barahna par
salamat rah na pai ek bhi tahrir pani mein
Khursheed Akbar
quran ka mafhum unhen kaun batae
aankhon se jo chehron ki tilawat nahin karte
Khursheed Akbar
ota hun to sailab se kaTti hain zaminen
hansta hun to Dah jate hain kohsar meri jaan
Khursheed Akbar

