sulagti pyas ne kar li hai morcha-bandi
isi KHata pe samundar KHilaf rahta hai
Khursheed Akbar
wo ek aaina chehre ki baat karta hai
wo ek aaina patthar se hai ziyaada kya
Khursheed Akbar
yahan to rasm hai zindon ko dafn karne ki
kisi bhi qabr se murda kahan nikalta hai
Khursheed Akbar
ye kaisa shahr hai main kis ajaib-ghar mein rahta hun
main kis ki aankh ka pani hun kis patthar mein rahta hun
Khursheed Akbar
ye mera KHak-dan rakkha hua hai
isi mein aasman rakkha hua hai
Khursheed Akbar
zindagi! tujh ko magar sharm nahin aati kya
kaisi kaisi teri taswir nikal aai hai
Khursheed Akbar
aaKHir ko hans paDenge kisi ek baat par
rona tamam umr ka be-kar jaega
Khursheed Rizvi

