sahil se suna karte hain lahron ki kahani
ye Thahre hue log baghawat nahin karte
Khursheed Akbar
sahl kya bar-e-amanat ka uThana hai falak
main sambhalta hun mere sath sambhalti hai zamin
Khursheed Akbar
samundar aasman is par sitaron ka safina
mera mahtab-e-gham hai be-karani dekhne mein
Khursheed Akbar
sham ke tir se zaKHmi hai 'KHurshid' ka sina
nur simaT kar surKH kabutar ban jata hai
Khursheed Akbar
shahr be-ab hua jata hai
apni aankhon mein bacha lun pani
Khursheed Akbar
shahr jab KHud-kafil hai sahab
kaun kis ka malal karta hai
Khursheed Akbar
sisakti aarzu ka dard hun foot-path jaisa hun
ki mujh mein chhaTpaTata shahr-e-kalkatta bhi rahta hai
Khursheed Akbar

