zist ka ek gunah kar sake na hum
sans ke waste bhi mar sake na hum
Khumar Qureshi
tum meri masafat ke liye aaKHiri had ho
ab tum se pare rahguzar koi nahin hai
Khurram Khaleeq
aamad ka teri jab koi imkan nahin hai
kab tak dil-e-be-tab yunhi tham rakhen hum
Khurram Khiram Siddiqui
aate aate aaegi duniya-dari
jate jate faqa-masti jaegi
Khursheed Akbar
ai shahr-e-sitam-zad teri umr baDi ho
kuchh aur bata naql-e-makani ke alawa
Khursheed Akbar
aDi bholi hai KHarchili zarurat
shahanshahi kamai mangti hai
Khursheed Akbar
adan mein sans leta hai samundar
meri kashti hawa par chal rahi hai
Khursheed Akbar

