chehre hain ki sau rang mein hote hain numayan
aaine magar koi siyasat nahin karte
Khursheed Akbar
dalilen chhin kar mere labon se
wo mujh ko mujh se behtar kaTta hai
Khursheed Akbar
dard ka zaiqa bataun kya
ye ilaqa zaban se bahar hai
Khursheed Akbar
dil hai ki tere panw se pazeb giri hai
sunta hun bahut der se jhankar kahin ki
Khursheed Akbar
duniya ko raundne ka hunar jaanta hun main
lekin ye sochta hun ki duniya ke baad kya
Khursheed Akbar
ghaib ka aisa parinda hai zamin par insan
aasmanon ko jo shah-par pe uThae hue hai
Khursheed Akbar
gharibi kaTna aasan nahin hai
wo sari umr patthar kaTta hai
Khursheed Akbar

