aushni ke liye dil jalana paDa
kaisi zulmat baDhi tere jaane ke baad
Khumar Barabankavi
sahra ko bahut naz hai virani pe apni
waqif nahin shayad mere ujDe hue ghar se
Khumar Barabankavi
suna hai hamein wo bhulane lage hain
to kya hum unhen yaad aane lage hain
Khumar Barabankavi
tujh ko barbaad to hona tha bahar-haal 'KHumar'
naz kar naz ki us ne tujhe barbaad kiya
Khumar Barabankavi
wahi phir mujhe yaad aane lage hain
jinhen bhulne mein zamane lage hain
Khumar Barabankavi
yaad karne pe bhi dost aae na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
Khumar Barabankavi
ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamane lage hain
Khumar Barabankavi

