main lafz lafz mein tujh ko talash karta hun
sawal mein nahin aata na aa jawab mein aa
Karamat Ali Karamat
main shua-e-zat ke sine mein gunja hun kabhi
aur 'karamat' main kabhi lamhon ke KHwabon mein raha
Karamat Ali Karamat
manzil pe bhi pahunch ke mayassar nahin sakun
majbur is qadar hain shuur-e-safar se hum
Karamat Ali Karamat
patwar gir gai thi samundar ki god mein
dil ka safina phir bhi lahu ke safar mein tha
Karamat Ali Karamat
sukun wasl mein itna nasib ho ki na ho
jis iztirab se main intizar karta hun
Karamat Ali Karamat
TuT kar kitnon ko majruh ye kar sakta hai
sang tu ne abhi dekha nahin shishe ka jiga
Karamat Ali Karamat
wo kaun tha jo meri zindagi ke daftar se
huruf le gaya KHali kitab chhoD gaya
Karamat Ali Karamat

