ishq ki duniya mein kya kya hum ko saughaten milin
suni subhen roti shamen jagti raaten milin
Karam Hyderabadi
waiz KHata-muaf ki rindan-e-mai-kada
dil ke siwa kisi ka kaha mante nahin
Karam Hyderabadi
chubh raha tha dil mein har dam kar raha tha be-qarar
ek aziyyat-nak pahlu jo meri rahat mein tha
Karamat Ali Karamat
gham-e-firaq ko sine se lag ke sone do
shab-e-tawil ki hogi sahar kabhi na kabhi
Karamat Ali Karamat
gham-e-hasti bhala kab mo'tabar ho
mohabbat mein na jab tak aankh tar ho
Karamat Ali Karamat
hamesha aag ke dariya mein ishq kyun utre
kabhi to husn ko gharq-e-azab hona tha
Karamat Ali Karamat
koi zamin hai to koi aasman hai
har shaKHs apni zat mein ek dastan hai
Karamat Ali Karamat

