hum ko bhi sar koi darkar hai ab sar ke ewaz
patthar ek hum bhi chala dete hain patthar ke ewaz
Karrar noori
kaun ho sakta hai aane wala
ek aawaz si aai thi abhi
Karrar noori
nakaamiyon ne aur bhi sarkash bana diya
itne hue zalil ki KHuddar ho gae
Karrar noori
aab-e-haiwan ko mai se kya nisbat
pani pani hai aur sharab shara
Kashfi Multani
'kashfi' ko koi puchhne aae to dosto
kahna ki chand sher suna kar chale gae
Kashfi Multani
nachti hai jab tu apne dilruba andaz se
aafrin ke naghme uThte hain dilon ke saz se
Kashfi Multani
teri aankhen hain ki aahu-e-KHutan ki aankhen
mahw-e-hairat thin jawanan-e-chaman ki aankhen
Kashfi Multani

