chaman ka husn samajh kar sameT lae the
kise KHabar thi ki har phul KHar niklega
Kalidas Gupta Raza
duniya to sidhi hai lekin duniya wale
jhuTi sachchi kah ke use bahkate honge
Kalidas Gupta Raza
hum na manenge KHamoshi hai tamanna ka mizaj
han bhari bazm mein wo bol na pai hogi
Kalidas Gupta Raza
hayat lakh ho fani magar ye sun rakhiye
hayat se jo hai maqsud ghair-fani hai
Kalidas Gupta Raza
jab fikron par baadal se manDlate honge
insan ghaT kar sae se rah jate honge
Kalidas Gupta Raza
KHirad DhunDhti rah gai wajah-e-gham
maza gham ka dard aashna le gaya
Kalidas Gupta Raza
lab-e-KHirad se yahi bar bar niklega
nikalne hi se dil ka ghubar niklega
Kalidas Gupta Raza

