yahan pe dasht o samundar ki baat mat karna
hamare shahr ka har shaKHs hai makan-zada
Kaleem Haider Sharar
hai zeb-e-gulu kab se mere dar ka phanda
mujrim hun agar main to saza kyun nahin dete
Kaleem Usmani
jab kisi ne qad o gesu ka fasana chheDa
baat baDh ke rasan-o-dar tak aa pahunchi hai
Kaleem Usmani
ab koi DhunD-DhanD ke lao naya wajud
insan to bulandi-e-insan se ghaT gaya
Kalidas Gupta Raza
azal se ta-ba-abad ek hi kahani hai
isi se hum ko nai dastan banani hai
Kalidas Gupta Raza
aat agar na karni thi kyun chaman mein aae the
rang kyun bikhera tha phul kyun khilae the
Kalidas Gupta Raza
ahaar aai gulon ko hansi nahin aai
kahin se bu teri guftar ki nahin aai
Kalidas Gupta Raza

