gulshan mein jo wasf is ka kahun dhyan laga kar
har gul meri baaton ko sune kan laga ka
Jurat Qalandar Bakhsh
hath malte hue aaj aate hain sab rah-guzare
ja-e-hairat hai ki main kyun sar-e-bazar na tha
Jurat Qalandar Bakhsh
hai aashiq o mashuq mein ye farq ki mahbub
taswir-e-tafarruj hai wo putla hai alam ka
Jurat Qalandar Bakhsh
hain lazim-o-malzum baham husn o mohabbat
hum hote na talib jo wo matlub na hota
Jurat Qalandar Bakhsh
hairan na ho sar dekh mera apni zamin par
dekho to likha kya hai meri lauh-e-jabin pa
Jurat Qalandar Bakhsh
hum diwanon ka ye hai dasht-e-junun mein rutba
ki qadam rakhte hi aa panw se har KHar laga
Jurat Qalandar Bakhsh
hum gulshan-e-hairat mein hain parwaz kahan ki
jun bulbul-e-taswir kabhi Tuk na hile pa
Jurat Qalandar Bakhsh

