dikhai kyun dil-e-wahshi ko chashm wo 'jurat'
sharab aur diwane ko tu pila laya
Jurat Qalandar Bakhsh
dil jigar ki mere puchhe hai KHabar kya hai ai yar
nok-e-mizhgan pe zara dekh numudar hai kya
Jurat Qalandar Bakhsh
dil ki kya puchhe hai ek qatra-e-KHun tha hamdam
so gham-e-ishq ne aate hain use nosh kiya
Jurat Qalandar Bakhsh
dil ko ai ishq su-e-zulf-e-siyah-fam na bhej
rahzanon mein tu musafir ko sar-e-sham na bhej
Jurat Qalandar Bakhsh
dil mein ab us ke jo lahr aai hai ghar jaane ki
tu bhi rone ki jhaDi dida-e-KHun-bar laga
Jurat Qalandar Bakhsh
dil-e-muztar ye kahe hai wahin le chal warna
toD chhati ke kiwaDon ko nikal jaunga
Jurat Qalandar Bakhsh
dil-e-wahshi ko KHwahish hai tumhaare dar pe aane ki
diwana hai wa-lekin baat karta hai Thikane ki
Jurat Qalandar Bakhsh

