chali jati hai tu ai umr-e-rafta
ye hum ko kis musibat mein phansa ka
Jurat Qalandar Bakhsh
chhoD kar tasbih li zunnar us but ke liye
the to ahl-e-din par is dil ne barahman kar diya
Jurat Qalandar Bakhsh
chupke chupke rote hain munh par dupaTTa tan kar
ghar jo yaad aaya kisi ka apne ghar mein aan ka
Jurat Qalandar Bakhsh
daur mein kya us ke koi naubat-e-ishrat bajae
jab ki KHud gardun ho ek aundha sa naqqara paDa
Jurat Qalandar Bakhsh
dekha zahid ne jo us ru-e-kitabi ko to bas
waraq-e-kufr liya daftar-e-iman ko phaD
Jurat Qalandar Bakhsh
dekhne ka jo karun us ke main dawa 'jurat'
mujh mein jurat ye kahan aur meri binai kya
Jurat Qalandar Bakhsh
dekho duzdida nigah se to nikal kar ek raat
chor sa kaun khaDa hai pas-e-diwar laga
Jurat Qalandar Bakhsh

