is shoala-KHu ko dekh hua shaiKH ka ye haal
jubbe ko aag lag uThi ammama jal gaya
Jurat Qalandar Bakhsh
islam se bargashta na hote ba-KHuda hum
gar ishq-e-butan taba ke marghub na hota
Jurat Qalandar Bakhsh
jab talak hum na chahte the tujhe
tab tak aisa tera jamal na tha
Jurat Qalandar Bakhsh
jahan ke bagh mein hum bhi bahaar dikhlate
ye rang-e-ghuncha jo apni girah mein zar hota
Jurat Qalandar Bakhsh
jahan kuchh dard ka mazkur hoga
hamara sher bhi mashhur hoga
Jurat Qalandar Bakhsh
jald KHu apni badal warna koi kar ke tilism
aa ke dil apna tere dil se badal jaunga
Jurat Qalandar Bakhsh
jaldi talab-e-bosa pe kije to kahe wah
aisa ise kya samjhe ho tum munh ka niwala
Jurat Qalandar Bakhsh

