allah-re bhulapa munh dho ke KHud wo bole
sungho to ho gaya ye pani gulab kyunka
Jurat Qalandar Bakhsh
aad muddat wo dekh kar bola
kis ne yan KHak ka ye Dher rakha
Jurat Qalandar Bakhsh
aal hain bikhre band hain TuTe kan mein TeDha baala hai
'jurat' hum pahchan gae hain dal mein kala kala hai
Jurat Qalandar Bakhsh
e-his-o-hairan jo hun ghar mein paDa is ke ewaz
kash main naqsh-e-qadam hota kisi ki rah ka
Jurat Qalandar Bakhsh
hari jo hasrat-o-yas apni guftugu mein hai
KHuda hi jaane ki banda kis aarzu mein hai
Jurat Qalandar Bakhsh
in dekhe us ke jawe ranj o azab kyun kar
wo KHwab mein to aawe par aawe KHwab kyun ka
Jurat Qalandar Bakhsh
ud-o-bash apni kahen kya ki ab us bin yun hai
jis tarah se koi majzub kahin baiTh raha
Jurat Qalandar Bakhsh

