husn ko bhi kahan nasib 'jigar'
wo jo ek shai meri nigah mein hai
Jigar Moradabadi
husn ko kya dushmani hai ishq ko kya bair hai
apne hi qadmon ki KHud hi Thokaren khata hun main
Jigar Moradabadi
hun KHata-kar siyahkar gunahgar magar
kis ko baKHshe teri rahmat jo gunahgar na ho
Jigar Moradabadi
ibtida wo thi ki jina tha mohabbat mein muhaal
intiha ye hai ki ab marna bhi mushkil ho gaya
Jigar Moradabadi
idhar se bhi hai siwa kuchh udhar ki majburi
ki hum ne aah to ki un se aah bhi na hui
Jigar Moradabadi
ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
Jigar Moradabadi
is tarah KHush hun kisi ke wada-e-farda pe main
dar-haqiqat jaise mujh ko e'tibar aa hi gaya
Jigar Moradabadi

