kamal-e-tishnagi hi se bujha lete hain pyas apni
isi tapte hue sahra ko hum dariya samajhte hain
Jigar Moradabadi
koi ye kah de gulshan gulshan
lakh balaen ek nasheman
Jigar Moradabadi
kuchh khaTakta to hai pahlu mein mere rah rah kar
ab KHuda jaane teri yaad hai ya dil mera
Jigar Moradabadi
kucha-e-ishq mein nikal aaya
jis ko KHana-KHarab hona tha
Jigar Moradabadi
kya bataun kis qadar zanjir-e-pa sabit hue
chand tinke jin ko apna aashiyan samjha tha mein
Jigar Moradabadi
kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai
hum KHak-nashinon ki Thokar mein zamana hai
Jigar Moradabadi
kya KHabar thi KHalish-e-naz na jine degi
ye teri pyar ki aawaz na jine degi
Jigar Moradabadi

