ishq par kuchh na chala dida-e-tar ka qabu
us ne jo aag laga di wo bujhai na gai
Jigar Moradabadi
itne hijabon par to ye aalam hai husn ka
kya haal ho jo dekh len parda uTha ke hum
Jigar Moradabadi
ja aur koi zabt ki duniya talash kar
ai ishq hum to ab tere qabil nahin rahe
Jigar Moradabadi
jaan hi de di 'jigar' ne aaj pa-e-yar par
umr bhar ki be-qarari ko qarar aa hi gaya
Jigar Moradabadi
jab mili aankh hosh kho baiThe
kitne hazir-jawab hain hum log
Jigar Moradabadi
jahl-e-KHirad ne din ye dikhae
ghaT gae insan baDh gae sae
Jigar Moradabadi
jin ke liye mar bhi gae hum
wo chal kar do gam na aae
Jigar Moradabadi

