hum ishq ke maron ka itna hi fasana hai
rone ko nahin koi hansne ko zamana hai
Jigar Moradabadi
hum ko miTa sake ye zamane mein dam nahin
hum se zamana KHud hai zamane se hum nahin
Jigar Moradabadi
hum ne sine se lagaya dil na apna ban saka
muskura kar tum ne dekha dil tumhaara ho gaya
Jigar Moradabadi
hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil
kise dekh kar aap sharmaiyega
Jigar Moradabadi
har taraf chha gae paigham-e-mohabbat ban kar
mujh se achchhi rahi qismat mere afsanon ki
Jigar Moradabadi
hasin teri aanhken hasin tere aansu
yahin Dub jaane ko ji chahta hai
Jigar Moradabadi
husn ke har jamal mein pinhan
meri ranai-e-KHayal bhi hai
Jigar Moradabadi

