jab bhi aata hai wo mere dhyan mein
phul rakh jata hai roshan-dan mein
Jazib Quraishi
kyun mang rahe ho kisi barish ki duaen
tum apne shikasta dar-o-diwar to dekho
Jazib Quraishi
ashk aankhon se ye kah kar nikla
ye tere zabt ki had hai? had hai
Jeem Jazil
ek bachcha sa be-sabab 'jazil'
baiTha rahta hai ruTh kar mujh mein
Jeem Jazil
main apne jism ke andar na dafn ho jaun
mujhe wajud ke girte hue makan se nikal
Jeem Jazil
akkhi thi taswir tumhaari aankhon mein
hum ne sari raat guzari aankhon mein
Jeem Jazil
zindagi tujh ko tere dard ke har ek pal ko
hum ne jis tarah guzara hai KHuda jaanta hai
Jeem Jazil

