hamin tum se hamesha milne aaen kyun
tumhaare panw mein mehndi lagi hai kya
Irshad Khan ’Sikandar’
kaam sab ho gae mere aasan
kaun samjhega meri mushkil ko
Irshad Khan ’Sikandar’
kal teri taswir mukammal ki main ne
fauran us par titli aa kar baiTh gai
Irshad Khan ’Sikandar’
kar gaya KHamosh mujh ko der tak
chiKHna wo ek be-zaban ka
Irshad Khan ’Sikandar’
khinch lai hai mohabbat tere dar par mujh ko
itni aasani se warna kise hasil hua main
Irshad Khan ’Sikandar’
mere KHilaf sabhi sazishen rachin jis ne
wo ro raha hai meri dastan sunata hua
Irshad Khan ’Sikandar’
muddaton aankhen wazu karti rahin ashkon se
tab kahin ja ke teri did ke qabil hua main
Irshad Khan ’Sikandar’

