udas KHushk labon par laraz raha hoga
wo ek bosa jo ab tak meri jabin pe nahin
Irfan Siddiqi
us ki aankhen hain ki ek Dubne wala insan
dusre Dubne wale ko pukare jaise
Irfan Siddiqi
us ko manzur nahin hai meri gumrahi bhi
aur mujhe rah pe lana bhi nahin chahta hai
Irfan Siddiqi
us ko rahta hai hamesha mari wahshat ka KHayal
mere gum-gashta ghazalon ka pata chahti hai
Irfan Siddiqi
us se bichhDe to tumhein koi na pahchanega
tum to parchhain ho paikar ki taraf lauT chalo
Irfan Siddiqi
uTho ye manzar-e-shab-tab dekhne ke liye
ki nind shart nahin KHwab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
wagarna tang na thi ishq par KHuda ki zamin
kaha tha us ne to main apne ghar chala bhi gaya
Irfan Siddiqi

