wo jo ek shart thi wahshat ki uTha di gai kya
meri basti kisi sahra mein basa di gai kya
Irfan Siddiqi
ye hu ka waqt ye jangal ghana ye kali raat
suno yahan koi KHatra nahin Thahar jao
Irfan Siddiqi
karta hai lahu dil ko har ek harf-e-tasalli
kahne ko to yun qurbat-e-gham-KHwar bahut hai
Irfana Azeez
ji jalaega ye aawara o be-dar hona
dil dukhaenge ye mahke hue ghar ab ke baras
Irshad Arshii
ab apne-ap ko KHud DhunDhta hun
tumhaari khoj mein nikla hua main
Irshad Khan ’Sikandar’
ah gae aansuon ke dariya mein
aap ki baat yaad hi na rahi
Irshad Khan ’Sikandar’
uDhi man ka shayad lauT aaya bachpan
guDiyon ka ambar laga kar baiTh gai
Irshad Khan ’Sikandar’

