duKHtar-e-raz mat kaho napak hai
aabru-e-dudman-e-tak hai
Ishq Aurangabadi
gar shaiKH ne aah ki to mat bhul
dil mein patthar ke bhi sharar hai
Ishq Aurangabadi
giraftari ki lazzat aur nira aazad kya jaane
KHushi se kaTna gham ka dil-e-nashad kya jaane
Ishq Aurangabadi
ho gul bulbul tabhi bulbul pe bulbul phul kar gul ho
tere gar gul-badan bar mein qaba-e-chashm-e-bulbul ho
Ishq Aurangabadi
'ishq' raushan tha wahan dida-e-ahu se charagh
main jo yak raat gaya qais ke kashane mein
Ishq Aurangabadi
kahiyo KHud-bin se ki aaine mein tanha mat baiTh
KHatar aaseb ka rahta hai pari-KHane mein
Ishq Aurangabadi
laila ka siyah KHema ya aankh hai hirnon ki
ye shaKHa-e-ghazalan hai ya nala-e-majnun hai
Ishq Aurangabadi

