maza aab-e-baqa ka jaan-e-jaanan
tera bosa liya howe so jaane
Ishq Aurangabadi
muqabil ho hamare kasb-e-taqlidi se kya taqat
abhi hum mahw kar dete hain aaine ko ek hu mein
Ishq Aurangabadi
nahin malum dil mein baiTh ke kaun
chashm ki durbin se dekhe hai
Ishq Aurangabadi
shewa-e-afsurdagi ko kam na bujh
KHak ka kahte hain aalam pak hai
Ishq Aurangabadi
tu ne kya dekha nahin gul ka pareshan ahwal
ghuncha kyun ainTha hua rahta hai zardar ki tarah
Ishq Aurangabadi
us ki aankhon ke agar wasf raqam kijiyega
shaKH-e-nargis ko qalam kar ke qalam kijiyega
Ishq Aurangabadi
ye but hirs-o-hawa ke dil ke jab kaba mein toDunga
tumhaari subha mein kab shaiKH-ji zunnar chhoDunga
Ishq Aurangabadi

