tere siwa koi kaise dikhai de mujh ko
ki meri aaankhon pe hai dast-e-ghaebana tera
Irfan Siddiqi
tujh ko supurdagi mein simaTna bhi hai zarur
sachcha hai karobar to nuqsan chahiye
Irfan Siddiqi
tum parindon se ziyaada to nahin ho aazad
sham hone ko hai ab ghar ki taraf lauT chalo
Irfan Siddiqi
tum se mile to KHud se ziyaada
tum ko akela paya hum ne
Irfan Siddiqi
tum suno ya na suno hath baDhao na baDhao
Dubte Dubte ek bar pukarenge tumhein
Irfan Siddiqi
tu ek charagh-e-jahan-e-digar hai kya jaane
hum is zamin pe kis tarah shab guzarte hain
Irfan Siddiqi
uDe to phir na milenge rafaqaton ke parind
shikayaton se bhari Tahniyan na chhu lena
Irfan Siddiqi

