ye raushni ke taaqub mein bhagta hua din
jo thak gaya hai to ab us ko muKHtasar kar de
Iftikhar Arif
ye sari jannaten ye jahannam azab o ajr
sari qayamaten isi duniya ke dam se hain
Iftikhar Arif
ye tere mere charaghon ki zid jahan se chali
wahin kahin se ilaqa hawa ka lagta hai
Iftikhar Arif
ye waqt kis ki raunat pe KHak Dal gaya
ye kaun bol raha tha KHuda ke lahje mein
Iftikhar Arif
zamana ho gaya KHud se mujhe laDte-jhagaDte
main apne aap se ab sulh karna chahta hun
Iftikhar Arif
zindagi bhar ki kamai yahi misre do-chaar
is kamai pe to izzat nahin milne wali
Iftikhar Arif
dasht-e-be-samt mein rukna bhi safar aisa tha
zindagi bhagte guzri mujhe Dar aisa tha
Iftikhar Bukhari

