اردو हिंदी
Manzar se hain na dida-e-bina ke dam se hain | Shaahi Shayari
manzar se hain na dida-e-bina ke dam se hain

Ghazal

Manzar se hain na dida-e-bina ke dam se hain

Iftikhar Arif

;

manzar se hain na dida-e-bina ke dam se hain
sab moajaze tilism-e-tamasha ke dam se hain

miTTi to samne ka hawala hai aur bas
kuze mein jitne rang hain dariya ke dam se hain

kya aisi manzilon ke liye naqd-e-jaan ganwaen
jo KHud hamare naqsh-e-kaf-e-pa ke dam se hain

ye sari jannaten ye jahannam azab o ajr
sari qayamaten isi duniya ke dam se hain

hum sare yaadgar-e-zamin-o-zamana log
ek sahab-e-zamin-o-zamana ke dam se hain