chheDa hai dast-e-shauq ne mujh se KHafa hain wo
goya ki apne dil pe mujhe iKHtiyar hai
Hasrat Mohani
chhup nahin sakti chhupane se mohabbat ki nazar
paD hi jati hai ruKH-e-yar pe hasrat ki naza
Hasrat Mohani
chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah
muddaten guzrin par ab tak wo Thikana yaad hai
Hasrat Mohani
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai
Hasrat Mohani
dawa-e-ashiqi hai to 'hasrat' karo nibah
ye kya ke ibtida hi mein ghabra ke rah gae
Hasrat Mohani
dekhne aae the wo apni mohabbat ka asar
kahne ko ye hai ki aae hain ayaadat kar ke
Hasrat Mohani
dil ko KHayal-e-yar ne maKHmur kar diya
saghar ko rang-e-baada ne pur-nur kar diya
Hasrat Mohani

