'hasrat' ki bhi qubul ho mathura mein haziri
sunte hain aashiqon pe tumhaara karam hai aaj
Hasrat Mohani
iltifat-e-yar tha ek KHwab-e-aghaz-e-wafa
sach hua karti hain in KHwabon ki tabiren kahin
Hasrat Mohani
iqrar hai ki dil se tumhein chahte hain hum
kuchh is gunah ki bhi saza hai tumhaare pas
Hasrat Mohani
jabin par sadgi nichi nigahen baat mein narmi
muKHatib kaun kar sakta hai tum ko lafz-e-qatil se
Hasrat Mohani
jo aur kuchh ho teri did ke siwa manzur
to mujh pe KHwahish-e-jannat haram ho jae
Hasrat Mohani
kabhi ki thi jo ab wafa kijiyega
mujhe puchh kar aap kya kijiyega
Hasrat Mohani
kahan hum kahan wasl-e-jaanan ki 'hasrat'
bahut hai unhen ek nazar dekh lena
Hasrat Mohani

