اردو हिंदी
Dil ko KHayal-e-yar ne maKHmur kar diya | Shaahi Shayari
dil ko KHayal-e-yar ne maKHmur kar diya

Ghazal

Dil ko KHayal-e-yar ne maKHmur kar diya

Hasrat Mohani

;

dil ko KHayal-e-yar ne maKHmur kar diya
saghar ko rang-e-baada ne pur-nur kar diya

manus ho chala tha tasalli se haal-e-dil
phir tu ne yaad aa ke ba-dastur kar diya

gustaKH-dastiyon ka na tha mujh mein hausla
lekin hujum-e-shauq ne majbur kar diya

kuchh aisi ho gai hai tere gham mein mubtila
goya kisi ne jaan ko mashur kar diya

betabiyon se chhup na saka majra-e-dil
aaKHir huzur-e-yar bhi mazkur kar diya

ahl-e-nazar ko bhi nazar aaya na ru-e-yar
yan tak hijab-e-nur ne mastur kar diya

'hasrat' bahut hai martaba-e-ashiqi buland
tujh ko to muft logon ne mashhur kar diya